Urdu Very Sad Ghazal
Kesi ko tera intezar aaj bhi ha
Kahan ho tum ka ya dil be qarar aaj bhi
Wo wadian, wo fizain, ka ham mly they jahan
Mery wafa ka wohin par mazar aaj bhi ha
Na jane dikh ke kue in ko, ya hoa ya ihsaas
Ka mere dil pa unhin ikhtiar aaj bhi ha!!!!
Wo piyaar jis ka liye, hm ne chor di Duniya
Wafa ki rahon main gail wo piaar aaj bhi ha
Yaqeen nahi ha magar, aaj bhi ya lagta ha
Mere talash main shayed bahar aaj bhi ha
Na poch ketney mohbat ke zakham khai ha
Ka jin ko soch ke dil sogawar aaj bhi ha