Very Nice Urdu Islamic Ghazal Poem About Rabb

Chalo aik nazam likhte hain!
Kisi ka naam karte hain!

Magar ya sochna hai ab!
Ka us ma zikar kis ka ho?

Ka us ma baat kis ki ho?
Ka us ma zaat kis ki ho?

Aur ya bhi farz karte hain!
Ka jis pe nazam lekhte hain!

Humain us se muhabat hai!
Humari sari jazboon ko!!!

Bus us ki hi zaroorat hain!
Chalo aik kam karte hain!

Ka hum jo nazm lekhte hain!
Wo "RABB" ka naam karte hain!

Wohi unwan ho is ka!
Usi ka zikar ho ic main!

Ussi ki baat ho ic ma!

Ka 

Wohi Khaliq.....

Wohi Malik.....

Wohi Raziq......

Wohi Hakim......

Wohi Haqdar Hain Is ka!!!!