Aao Karachi ki tum ko sunaon kahani
Ya shehar tha jo sotha nahi tha
Andhera Muhallon me hota nahi tha
Buson ki sada sonay deti nahi thi
Ye smjho yahan raat hot nahi thi
Wo Thelon pe bikti hoi mong phaliyan!
Bari der tak jagti thi yahan galian!
Yahan rehne walo me tha bhai chara
Jo mulk dushmano ko her giz nahi tha gawara
Hoi phir hamary khilaf aik saazish!
Thami hi nahi jb se lashon ki barish!
Ujarta Raha phir hamara pyara shehar Karachi
Gharon me yahan moat ja ja ka naachi!
Hai ab chaaro traf ghup andhera!
Bach gai tu dekhenge kal sawera!
Dedicated to All Karachies!