Urdu Sad Ghazal
Wo Misl-e-Khwab Hi rehta tu kitna acha tha
Wo Mere saath hi rehta tu kitna acha tha
Subhain haseen tu shamain bohat khushgawar hoti
Wo mere shaher ma hota tu kitna acha tha
Hawa ka dosh pe pheli hoi thi uski mehak
Hawa ka rukh na badalta tu kitna acha tha
Main zindagi ka masaail say lar bi sakta tha
Wo hosla mujhy dayta tu kitna acha tha
Na ab milain gay, na batain, na phr mulaqatin
Wo yehi bat na kehta tu kitna acha tha