Urdu Latest Ghazal By Mehronisa Arif About Love Story

Urdu Ghazal

Ek Chehra jo mere khwab saja deta hai
Mujh ko mere hi khyalon me sada deta hai

Wo mera kon hain maloom nahi ha lekin!
Jab bhi milta ha tu mera gham mitha deta hai

Main jo kabi toot k bikhroon tu wohi mujh ko
Chahne k liye apne haath barha deta hai

Main jo tanha kabi chupkay se bhi rona chahon
Dil k darwazay ki zanjeer hila deta hai

Us ki qurbat me hai kya baat naja ne
Aik lamhe ke liye sadiyon ko bhula deta hai

"Urdu Very Nice Ghazal"