Urdu July 2011 Sad Jodai Ghazal Poetry

Usey ya baat samjhao tumhen koi yaad karta hai
Kabi tu milne aa jao tumhen koi yaad karta hai

Hamare shehar se jab tum gae thy hm ne na roka
Hamare dil se mat jao, tumhen koi yaad karta hai

Tumhare naam ki har shay wahin mojud hai lekin
Kabi khud bhi chaly aao, tumhen koi yaad karta hai

Wafa do gey wafa den ge jafa do ge Khafa honge
Wo baten phir se duhrao, tumhen koi yaad karta hai