Usko fursat hi nahi waqt nikaly Mohsin
Aisy hote hain bhala chahny waaly Mohsin
Yaad k dasht mein phirta hon main nange paon
Dekh tu aa ka kabi paaon k chaaly Mohsin
Kho gai subho ki umeed, aur ab lagta hai
Hum nahi honge, ka jab hon gy ujaaly Mohsin
Hakim-e-waqt kahan ma kahan, adal kahan
Ku na khalqat ki zubaan par laagaen taaly Mohsin
Wo Jo aik shaks mataa-e-dil-o-jaan tha, na raha
Ab bhala kon mere dard sambhaaly Mohsin