Urdu Zabardast Poetry Including Loving Ghazal Nice Shayari

Main uski zaat pe aise yaqeen rakhta hon!
Jaise Paon ka neechy zameen rakhta hon!

Haqeeqaton ki tu bad-sorti hai apni jaga
Magar main khwab bohat dil-nasheen rakhta hon

Ya naaz hai ka koi nadan mera dushman nahi
Ya Fakhar ha ka mein dost bohat azeem rakhta hon

-----------------------------
"Ghazal"

Kabhi mehrban tha tu kabhi anjan tha
Mera weham tha ya wo mera guman tha

De kar zakham wo marham rakhta tha
Ban raha tha ya waqi hi itna nadan tha

Mujh se bichar gaya tha wo ik raat
Wo shakhs jo meri pehchan tha

Kash ka wo mil jate hum ko humdam
Ketna es dil ko es baat ka armaan tha

Khuda ko chahtey tu bohat kuch mil jata
Hum ne chaha jis ko wo tu aik insaan tha